P2P | IT Discussions Forum

Full Version: Untitled!
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Kehnay ko us say mera koi waasta nahin amjad
magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin
darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin
aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin
tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
hur baat sun raha hay magar bolta nahin
khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin
amjad woh aankhain jheel see gehri to hain
magar un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!
Reference URL's