04-24-2008, 03:54 AM
Aap ke tassawur main kitna nikhar hai,
Aap ke izhar main naghma hai,bahar hai,
Baaton main jhalakta ajab sa piyar hai,
Email ka her dum hamain intezar hai.
Jumbish-i-qalam aap ki rahe yeh paiham,
Rawan dawan rahe yeh haseen sitam,
Rishta-i-dosti hai Khuda ka karam,
Parey na yeh jazba kabhi madham.
Watan main rahen aap masroof-i-kar,
Diyar-e-ghair main hai yaadon ka ghubar,
Fasley to bohat hain; bus hai aik mehkar,
Hamari chahat, aur uski halki si jhankar!!!
Aap ke izhar main naghma hai,bahar hai,
Baaton main jhalakta ajab sa piyar hai,
Email ka her dum hamain intezar hai.
Jumbish-i-qalam aap ki rahe yeh paiham,
Rawan dawan rahe yeh haseen sitam,
Rishta-i-dosti hai Khuda ka karam,
Parey na yeh jazba kabhi madham.
Watan main rahen aap masroof-i-kar,
Diyar-e-ghair main hai yaadon ka ghubar,
Fasley to bohat hain; bus hai aik mehkar,
Hamari chahat, aur uski halki si jhankar!!!